wo be-dar raaton mein kam-KHwab aalam
vo be-dār rātoñ meñ kam-ḳhvāb aalam
kisī ke tasavvur meñ kho.e hue ham
ḳhayāloñ pa chhāyā huā nūr-paikar
shab-e-mah se raushan ziyāda shab-e-ġham
vahī rū-e-zebā vahī zulf barham
haiñ asbāb barham-zan-e-har-do-ālam
ḳhizāoñ kā aalam na pūchho ki yaañ to
bahāreñ bhī aatī haiñ bā-chashm-e-pur-nam
nigāhoñ meñ hasrat hai vāmāndagi hai
kabhī vo bhī din the ki ham tum the tum ham
nahīñ hai jo mujh ko koī fikr-e-duniyā
bahut haiñ ki jin ko hai is baat kā ġham
ḳhushī aur ġham kā muraqqā hai duniyā
guloñ kī hañsī par girā ashk-e-shabnam
musāvāt jamhūriyat meñ kahāñ hai
kahīñ hai ināyat ziyāda kahīñ kam
lab-o-ruḳh kī bāteñ tafannun haiñ 'rizvāñ'
kiyā hai zamāne kī gardish ne be-dam
wo be-dar raaton mein kam-KHwab aalam
kisi ke tasawwur mein khoe hue hum
KHayalon pa chhaya hua nur-paikar
shab-e-mah se raushan ziyaada shab-e-gham
wahi ru-e-zeba wahi zulf barham
hain asbab barham-zan-e-har-do-alam
KHizaon ka aalam na puchho ki yan to
bahaaren bhi aati hain ba-chashm-e-pur-nam
nigahon mein hasrat hai wamandagi hai
kabhi wo bhi din the ki hum tum the tum hum
nahin hai jo mujh ko koi fikr-e-duniya
bahut hain ki jin ko hai is baat ka gham
KHushi aur gham ka muraqqa hai duniya
gulon ki hansi par gira ashk-e-shabnam
musawat jamhuriyat mein kahan hai
kahin hai inayat ziyaada kahin kam
lab-o-ruKH ki baaten tafannun hain 'rizwan'
kiya hai zamane ki gardish ne be-dam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.