wo be-gunahi hamari muaf karta hai
vo be-gunāhī hamārī muaaf kartā hai
na faisla hī hamāre ḳhilāf kartā hai
sajā.e rakhtā hai ḳhvāb-o-ḳhayāl kī duniyā
haqīqatoñ kā vo kab e'tirāf kartā hai
ye ech-pech agar aur magar ye tāvīleñ
jo sāf-dil ho vo bāteñ bhī saaf kartā hai
jo apnī ruuh ke asrār se nahīñ vāqif
vo mere baare meñ kyā inkishāf kartā hai
jo hukm bhī huā sādir bas us ko maan liyā
'sa.īd' dil se kahāñ iḳhtilāf kartā hai
wo be-gunahi hamari muaf karta hai
na faisla hi hamare KHilaf karta hai
sajae rakhta hai KHwab-o-KHayal ki duniya
haqiqaton ka wo kab e'tiraf karta hai
ye ech-pech agar aur magar ye tawilen
jo saf-dil ho wo baaten bhi saf karta hai
jo apni ruh ke asrar se nahin waqif
wo mere bare mein kya inkishaf karta hai
jo hukm bhi hua sadir bas us ko man liya
'said' dil se kahan iKHtilaf karta hai
- Book : Aiwan (Pg. 48)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.