wo be-KHud-e-shabab wo simin-badan kahan
vo be-ḳhūd-e-shabāb vo sīmīñ-badan kahāñ
maiñ ġham-nasīb kushta-e-ranj-o-mehan kahāñ
dil meñ kisī kī yaad ne phir lī haiñ chuTkiyāñ
āñkhoñ meñ chhup gayā hai vo ġhuncha-dahan kahāñ
duniyā-e-rang-o-bū meñ usī kā thā ehtimām
vo gul-badan nahīñ to bahār-e-chaman kahāñ
ārām aa chukā hai dil-e-be-qarār ko
aglī sī vo ḳhalish vo kasak vo chubhan kahāñ
fikr-e-ma.āsh ne hameñ sab kuchh bhulā diyā
ab vo bisāt-e-aish vo bazm-e-suḳhan kahāñ
marte haiñ ab bhī bāda-o-shāhid ke naam par
ahl-e-vatan meñ jazba-e-hubb-e-vatan kahāñ
saarā jahān apnā vatan ab to hai 'bahār'
kyoñ mujh se pūchhiye ki hai merā vatan kahāñ
wo be-KHud-e-shabab wo simin-badan kahan
main gham-nasib kushta-e-ranj-o-mehan kahan
dil mein kisi ki yaad ne phir li hain chuTkiyan
aankhon mein chhup gaya hai wo ghuncha-dahan kahan
duniya-e-rang-o-bu mein usi ka tha ehtimam
wo gul-badan nahin to bahaar-e-chaman kahan
aaram aa chuka hai dil-e-be-qarar ko
agli si wo KHalish wo kasak wo chubhan kahan
fikr-e-maash ne hamein sab kuchh bhula diya
ab wo bisat-e-aish wo bazm-e-suKHan kahan
marte hain ab bhi baada-o-shahid ke nam par
ahl-e-watan mein jazba-e-hubb-e-watan kahan
sara jahan apna watan ab to hai 'bahaar'
kyon mujh se puchhiye ki hai mera watan kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.