Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo be-nawa rah-o-rasm-e-qalandari jaane

Fakhruddin Khan Mahir

wo be-nawa rah-o-rasm-e-qalandari jaane

Fakhruddin Khan Mahir

MORE BYFakhruddin Khan Mahir

    vo be-navā rah-o-rasm-e-qalandarī jaane

    jo ḳhāk-e-tan pe libās-e-tavañgarī jaane

    raqīb se tirī parḳhāsh dekh kar ai shoḳh

    vahī ho ḳhush jo na ye jañg-e-zargarī jaane

    adā-o-nāz-o-tabassum nigāh-e-gosha-e-chashm

    so us ke kaun ye andāz-e-dilbarī jaane

    jahāñ ke qatl se kyā ho use ḳhatar haihāt

    jo shoḳh kuchh na ma.āl-e-sitamgarī jaane

    dimāġh-e-bahas nahīñ ḳhārjī se ai 'māhir'

    aqīda kaun mirā ġhair-haidarī jaane

    wo be-nawa rah-o-rasm-e-qalandari jaane

    jo KHak-e-tan pe libas-e-tawangari jaane

    raqib se teri parKHash dekh kar ai shoKH

    wahi ho KHush jo na ye jang-e-zargari jaane

    ada-o-naz-o-tabassum nigah-e-gosha-e-chashm

    so us ke kaun ye andaz-e-dilbari jaane

    jahan ke qatl se kya ho use KHatar haihat

    jo shoKH kuchh na maal-e-sitamgari jaane

    dimagh-e-bahas nahin KHarji se ai 'mahir'

    aqida kaun mera ghair-haidari jaane

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now