wo be-parda warid hua chahta hai
vo be-parda vārid huā chāhtā hai
sar-e-anjuman hashr uThā chāhtā hai
na mahrūm saaqī rahe sāġhar-e-dil
sharāb-e-haqīqat-numā chāhtā hai
nahīñ uzr-e-taqsīr is dil ko koī
magar haq-ba-jānib sazā chāhtā hai
girī barq sehn-e-gulistāñ meñ lekin
mirā āshiyāñ bhī jalā chāhtā hai
talāsh-o-talab meñ jo sargarm dil thā
vo apnā hī ḳhud ab patā chāhtā hai
ye ham ne zamāne meñ dekhā hai aksar
burā hai vahī jo bhalā chāhtā hai
kamī hai taḌapne kī lazzat meñ ab tak
dil-e-dard is se sivā chāhtā hai
marīz-e-tamanna mohabbat kī rogī
koī dam meñ ruḳhsat huā chāhtā hai
garebāñ tasadduq hai josh-e-junūñ par
koī ab tamāshā banā chāhtā hai
gunahgār-e-ulfat sazā kī kamī par
kisī se hisāb-e-ḳhafā chāhtā hai
mohabbat meñ sab kuchh kisī ne luTāyā
na ma.alūm ab koī kyā chāhtā hai
'ziyā' ishq meñ ab ḳhudā us se samjhe
jo mujh ko phañsā kar bachā chāhtā hai
wo be-parda warid hua chahta hai
sar-e-anjuman hashr uTha chahta hai
na mahrum saqi rahe saghar-e-dil
sharab-e-haqiqat-numa chahta hai
nahin uzr-e-taqsir is dil ko koi
magar haq-ba-jaanib saza chahta hai
giri barq sehn-e-gulistan mein lekin
mera aashiyan bhi jala chahta hai
talash-o-talab mein jo sargarm dil tha
wo apna hi KHud ab pata chahta hai
ye hum ne zamane mein dekha hai aksar
bura hai wahi jo bhala chahta hai
kami hai taDapne ki lazzat mein ab tak
dil-e-dard is se siwa chahta hai
mariz-e-tamanna mohabbat ki rogi
koi dam mein ruKHsat hua chahta hai
gareban tasadduq hai josh-e-junun par
koi ab tamasha bana chahta hai
gunahgar-e-ulfat saza ki kami par
kisi se hisab-e-KHafa chahta hai
mohabbat mein sab kuchh kisi ne luTaya
na malum ab koi kya chahta hai
'ziya' ishq mein ab KHuda us se samjhe
jo mujh ko phansa kar bacha chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.