wo be-wafa hai to kya mat kaho bura usko
vo be-vafā hai to kyā mat kaho burā us ko
ki jo huā so huā ḳhush rakhe ḳhudā us ko
nazar na aa.e to us kī talāsh meñ rahnā
kahīñ mile to palaT kar na dekhnā us ko
vo sāda-ḳhū thā zamāne ke ḳham samajhtā kyā
havā ke saath chalā le uḌī havā us ko
vo apne baare meñ kitnā hai ḳhush-gumāñ dekho
jab us ko maiñ bhī na dekhūñ to dekhnā us ko
abhī se jaanā bhī kyā us kī kam-ḳhayālī par
abhī to aur bahut hogā sochnā us ko
use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe
mirī du'ā ki ḳhudā de ye hausla us ko
panāh DhūñD rahī hai shab-e-girafta-dilāñ
koī batāo mire ghar kā rāsta us ko
ġhazal meñ tazkira us kā na kar 'nasīr' ki ab
bhulā chukā vo tujhe tū bhī bhuul jā us ko
wo be-wafa hai to kya mat kaho bura us ko
ki jo hua so hua KHush rakhe KHuda us ko
nazar na aae to us ki talash mein rahna
kahin mile to palaT kar na dekhna us ko
wo sada-KHu tha zamane ke KHam samajhta kya
hawa ke sath chala le uDi hawa us ko
wo apne bare mein kitna hai KHush-guman dekho
jab us ko main bhi na dekhun to dekhna us ko
abhi se jaana bhi kya us ki kam-KHayali par
abhi to aur bahut hoga sochna us ko
use ye dhun ki mujhe kam se kam udas rakhe
meri du'a ki KHuda de ye hausla us ko
panah DhunD rahi hai shab-e-girafta-dilan
koi batao mere ghar ka rasta us ko
ghazal mein tazkira us ka na kar 'nasir' ki ab
bhula chuka wo tujhe tu bhi bhul ja us ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.