wo bekali nahin dil ko wo iztirab nahin
vo bekalī nahīñ dil ko vo iztirāb nahīñ
tumhāre hijr kā ab kuchh mujhe itaab nahīñ
jalā-bhunā huuñ mujhe ḳhvāhish-e-kabāb nahīñ
pilā de dho ke subū hī agar sharāb nahīñ
sunā hai ham ne ki aariz pe hai ġhubār sā kuchh
balā se ḳhat kā hamāre agar javāb nahīñ
tirī ḳhabar ke liye dekhte haiñ sab aḳhbār
mutāle.a meñ kisī ke koī kitāb nahīñ
rasīda buud bulā.e vale ba-ḳhair guzasht
tumhārī zulf se ḳhātir ko pech-o-tāb nahīñ
pilānā taul ke bāda-e-muġhāñ ḳhudā ke liye
ye din sharaf ke haiñ mīzāñ meñ āftāb nahīñ
farār kyuuñ na ho har roz jāñ-nisār ik ek
huzūr aap kī vo daulat-e-shabāb nahīñ
tumhāre zulf kī tasvīr kyā kare sairāb
ḳhatā muaaf ho ham tishna-e-sarāb nahīñ
'nasīm' pī ga.e ab mai-kadoñ meñ hai kyā ḳhaak
davā ke vāste london meñ bhī sharāb nahīñ
wo bekali nahin dil ko wo iztirab nahin
tumhaare hijr ka ab kuchh mujhe itab nahin
jala-bhuna hun mujhe KHwahish-e-kabab nahin
pila de dho ke subu hi agar sharab nahin
suna hai hum ne ki aariz pe hai ghubar sa kuchh
bala se KHat ka hamare agar jawab nahin
teri KHabar ke liye dekhte hain sab aKHbar
mutalea mein kisi ke koi kitab nahin
rasida bud bulae wale ba-KHair guzasht
tumhaari zulf se KHatir ko pech-o-tab nahin
pilana taul ke baada-e-mughan KHuda ke liye
ye din sharaf ke hain mizan mein aaftab nahin
farar kyun na ho har roz jaan-nisar ek ek
huzur aap ki wo daulat-e-shabab nahin
tumhaare zulf ki taswir kya kare sairab
KHata muaf ho hum tishna-e-sarab nahin
'nasim' pi gae ab mai-kadon mein hai kya KHak
dawa ke waste london mein bhi sharab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.