wo bhala hai to wo bhala hi sahi
vo bhalā hai to vo bhalā hī sahī
maiñ burā huuñ to maiñ burā hī sahī
sājid-e-sāhab-e-baqā huuñ maiñ
ḳhāk-e-pā huuñ to ḳhāk-e-pā hī sahī
vālihāna hai un se pyaar mujhe
bāvlā huuñ to bāvlā hī sahī
nā-ummīdī meñ hai ummīd hameñ
un kā har va.ada khokhlā hī sahī
dilkashī kā javāb koī nahīñ
zindagī chāhe bulbula hī sahī
apnī sohbat pe koī farq nahīñ
vo baḌā hai to vo baḌā hī sahī
pārsā.ī ham us kī maan ga.e
koī ab duudh kā dhulā hī sahī
vo bhī auroñ se māñgtā hai vafā
chāhe 'nāmī' vo bevafā hī sahī
wo bhala hai to wo bhala hi sahi
main bura hun to main bura hi sahi
sajid-e-sahab-e-baqa hun main
KHak-e-pa hun to KHak-e-pa hi sahi
walihana hai un se pyar mujhe
bawla hun to bawla hi sahi
na-ummidi mein hai ummid hamein
un ka har wada khokhla hi sahi
dilkashi ka jawab koi nahin
zindagi chahe bulbula hi sahi
apni sohbat pe koi farq nahin
wo baDa hai to wo baDa hi sahi
parsai hum us ki man gae
koi ab dudh ka dhula hi sahi
wo bhi auron se mangta hai wafa
chahe 'nami' wo bewafa hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.