wo bhi aaKHir rafta rafta is ke jaisa ho gaya
vo bhī āḳhir rafta rafta is ke jaisā ho gayā
jis ne duniyā jitnī dekhī utnā duniyā ho gayā
ḳhuun se mazlūm ke ho to ga.e raushan charāġh
raushnī aisī huī phir shahr andhā ho gayā
TuuT kar barbād ab hogā nahīñ us kā vajūd
tajrbe kī aag meñ tap kar vo sonā ho gayā
ishq kahtā hai abhī do-chār sāñseñ aur haiñ
husn kahtā hai ki uTh maqbūl sajda ho gayā
duur tujh se ho ke kuchh sochā nahīñ jaatā 'sa.īd'
aisā lagtā hai ki merā zehn iġhvā ho gayā
wo bhi aaKHir rafta rafta is ke jaisa ho gaya
jis ne duniya jitni dekhi utna duniya ho gaya
KHun se mazlum ke ho to gae raushan charagh
raushni aisi hui phir shahr andha ho gaya
TuT kar barbaad ab hoga nahin us ka wajud
tajrbe ki aag mein tap kar wo sona ho gaya
ishq kahta hai abhi do-chaar sansen aur hain
husn kahta hai ki uTh maqbul sajda ho gaya
dur tujh se ho ke kuchh socha nahin jata 'said'
aisa lagta hai ki mera zehn ighwa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.