wo bhi bigDa, hui ruswai bhi
vo bhī bigḌā, huī rusvā.ī bhī
jān-levā hai shanāsā.ī bhī
dil kī jānib jo chalī ġham kī havā
laḌkhaḌāne lagī tanhā.ī bhī
thā muqābil jo mire dost mirā
mujh ko achchhī lagī paspā.ī bhī
kyuuñ uThāte ho hamīñ hote haiñ
har tamāshe meñ tamāshā.ī bhī
chāñdnī haath pe rakh kar shab ne
ek sūrat mujhe dikhlā.ī bhī
'sād' kuchh bhī na bane gar tujh se
ek sūrat hai shakebā.ī bhī
wo bhi bigDa, hui ruswai bhi
jaan-lewa hai shanasai bhi
dil ki jaanib jo chali gham ki hawa
laDkhaDane lagi tanhai bhi
tha muqabil jo mere dost mera
mujh ko achchhi lagi paspai bhi
kyun uThate ho hamin hote hain
har tamashe mein tamashai bhi
chandni hath pe rakh kar shab ne
ek surat mujhe dikhlai bhi
'sad' kuchh bhi na bane gar tujh se
ek surat hai shakebai bhi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 515)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.