wo bhi hamein sargiran mile hain
vo bhī hameñ sargirāñ mile haiñ
duniyā ke ajiib silsile haiñ
guzre the na chashm-e-bāġhbāñ se
jo ab kī bahār gul khile haiñ
ruktā nahīñ sail-e-girya-e-ġham
ai zabt ye sab tire sile haiñ
kal kaise judā hue the ham se
aur aaj kis tarah mile haiñ
paas aa.e to aur ho ga.e duur
ye kitne ajiib fāsle haiñ
suntā nahīñ koī 'saif' varna
kahne ko to saiñkaḌoñ gile haiñ
wo bhi hamein sargiran mile hain
duniya ke ajib silsile hain
guzre the na chashm-e-baghban se
jo ab ki bahaar gul khile hain
rukta nahin sail-e-girya-e-gham
ai zabt ye sab tere sile hain
kal kaise juda hue the hum se
aur aaj kis tarah mile hain
pas aae to aur ho gae dur
ye kitne ajib fasle hain
sunta nahin koi 'saif' warna
kahne ko to sainkaDon gile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.