wo bhi kya din the juda hote na the ek dam kahin
wo bhi kya din the juda hote na the ek dam kahin
Nawab Nazeer Al-Daula
MORE BYNawab Nazeer Al-Daula
vo bhī kyā din the judā hote na the ik dam kahīñ
gardish-e-aflāk se ab tum kahīñ aur ham kahīñ
tham raheñ yā-rab na apne dīda-e-pur-nam kahīñ
kam na ho duniyā se ab ye chashma-e-zamzam kahīñ
ġham na khā ai dil ki duniyā kā yahī qānūn hai
naġhma-e-shādī kahīñ hai nāla-e-mātam kahīñ
ab ye aalam hai ki ik aalam kā jī qurbān hai
o but-e-kāfir na dekhā terā sā aalam kahīñ
go pareshāñ kar de merī sarsar-e-āh ik jahāñ
ho na vo zulf-e-mo.ambar darham-o-barham kahīñ
zālim-o-be-rahm duniyā meñ nahīñ gar aap sā
sābir-o-shākir ziyāda mujh se hogā kam kahīñ
ġhuncha saañ ḳhūn-e-jigar pī pī ke rahte haiñ mudām
shakl-e-gul ho jaa.e TukḌe dil jo ho ḳhurram kahīñ
umr ke mānind har dam ham se ram hai yaar ko
chaukḌī bhūle hiran kar dekh le ye ram kahīñ
us kī pistāñ par jo pherā haath vo kahne lagā
mahramoñ par Dālte haiñ haath nā-mahram kahīñ
is zamīñ meñ aur bhī 'daula' sunāo ik ġhazal
aap ke se sher kā dekhā nahīñ aalam kahīñ
wo bhi kya din the juda hote na the ek dam kahin
gardish-e-aflak se ab tum kahin aur hum kahin
tham rahen ya-rab na apne dida-e-pur-nam kahin
kam na ho duniya se ab ye chashma-e-zamzam kahin
gham na kha ai dil ki duniya ka yahi qanun hai
naghma-e-shadi kahin hai nala-e-matam kahin
ab ye aalam hai ki ek aalam ka ji qurban hai
o but-e-kafir na dekha tera sa aalam kahin
go pareshan kar de meri sarsar-e-ah ek jahan
ho na wo zulf-e-moambar darham-o-barham kahin
zalim-o-be-rahm duniya mein nahin gar aap sa
sabir-o-shakir ziyaada mujh se hoga kam kahin
ghuncha san KHun-e-jigar pi pi ke rahte hain mudam
shakl-e-gul ho jae TukDe dil jo ho KHurram kahin
umr ke manind har dam hum se ram hai yar ko
chaukDi bhule hiran kar dekh le ye ram kahin
us ki pistan par jo phera hath wo kahne laga
mahramon par Dalte hain hath na-mahram kahin
is zamin mein aur bhi 'daula' sunao ek ghazal
aap ke se sher ka dekha nahin aalam kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.