wo bhi kya din the ki jab chah na thi pyar na tha
vo bhī kyā din the ki jab chaah na thī pyaar na thā
hijr kā ranj na thā ishq kā āzār na thā
be-ḳhudī terā burā ho mujhe jab hosh aaya
dil na thā siine meñ pahlū meñ vo ayyār na thā
de ke dil un ko paḌī jaan ġhazab meñ merī
vasl ko kahiye to kahte haiñ ki iqrār na thā
kyoñ lahad ko mire Thukrā ke miTāyā us ne
merī jānib se mukaddar jo sitamgār na thā
lab pe fariyād rahī ashk rahe āñkhoñ meñ
kab tirā dhyān mujhe ai but-e-ayyār na thā
ye bhī din haiñ ki hasīnoñ pe miTā jaatā huuñ
vo bhī din the ki mujhe ishq kā āzār na thā
hashr meñ fazl se apne mujhe haq ne baḳhshā
go ki duniyā meñ koī mujh sā siyahkār na thā
nigah-e-mast ne terī ye dikhā.ī tāsīr
sab the badmast koī raat ko hushiyār na thā
ai junūñ mausam-e-gul meñ tire hāthoñ he he
dāman-o-jeb meñ dekhā to koī taar na thā
pīTtā thā kabhī sar ko to kabhī siine ko
shab-e-tanhā.ī meñ ai shoḳh maiñ bekār na thā
kūcha-e-yār se yuuñ shaiḳh-o-barahman nikle
sar pe dastār na thī dosh pe zunnār na thā
kyā mohabbat ne mirī apnī dikhā.ī tāsīr
kis liye bazm meñ shab majma-e-aġhyār na thā
hajv-e-mai karte the kal hazrat-e-vā.iz sar-e-rāh
ḳhairiyat guzrī ki suntā koī mai-ḳhvār na thā
yuuñ to shab bazm meñ har ek gayā aur aaya
ek bad-baḳht maiñ hī thā jise vaañ yaar na thā
jāgtā merā nasība jo shab-e-vasl-e-adū
pāsbāñ ye to tirā dīda-e-bedār na thā
dard-o-andoh-o-ġham-o-ranj-o-alam ai 'nashtar'
ek duniyā thī mirī laash pe vo yaar na thā
wo bhi kya din the ki jab chah na thi pyar na tha
hijr ka ranj na tha ishq ka aazar na tha
be-KHudi tera bura ho mujhe jab hosh aaya
dil na tha sine mein pahlu mein wo ayyar na tha
de ke dil un ko paDi jaan ghazab mein meri
wasl ko kahiye to kahte hain ki iqrar na tha
kyon lahad ko mere Thukra ke miTaya us ne
meri jaanib se mukaddar jo sitamgar na tha
lab pe fariyaad rahi ashk rahe aankhon mein
kab tera dhyan mujhe ai but-e-ayyar na tha
ye bhi din hain ki hasinon pe miTa jata hun
wo bhi din the ki mujhe ishq ka aazar na tha
hashr mein fazl se apne mujhe haq ne baKHsha
go ki duniya mein koi mujh sa siyahkar na tha
nigah-e-mast ne teri ye dikhai tasir
sab the badmast koi raat ko hushiyar na tha
ai junun mausam-e-gul mein tere hathon he he
daman-o-jeb mein dekha to koi tar na tha
piTta tha kabhi sar ko to kabhi sine ko
shab-e-tanhai mein ai shoKH main bekar na tha
kucha-e-yar se yun shaiKH-o-barahman nikle
sar pe dastar na thi dosh pe zunnar na tha
kya mohabbat ne meri apni dikhai tasir
kis liye bazm mein shab majma-e-aghyar na tha
hajw-e-mai karte the kal hazrat-e-waiz sar-e-rah
KHairiyat guzri ki sunta koi mai-KHwar na tha
yun to shab bazm mein har ek gaya aur aaya
ek bad-baKHt main hi tha jise wan yar na tha
jagta mera nasiba jo shab-e-wasl-e-adu
pasban ye to tera dida-e-bedar na tha
dard-o-andoh-o-gham-o-ranj-o-alam ai 'nashtar'
ek duniya thi meri lash pe wo yar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.