wo bhi kya din the ki ulfat ka sabaq yaad na tha
vo bhī kyā din the ki ulfat kā sabaq yaad na thā
dard hamdard na thā ġham mirā ham-zād na thā
ġhair par hī tujhe manzūr thī navak-faganī
kyā sazā-vār-e-hadaf ye dil-e-nāshād na thā
tujh ko lāzim thā ayādat meñ dikhānā āñkheñ
aise bīmār ko jo qābil-e-fariyād na thā
jab pasand aa gayā un ko to maiñ qīmat kyā luuñ
maiñ samajh lūñgā ki merā dil-e-nāshād na thā
bol uThe aaj vo ḳhud apnī zabāñ se 'mahmūd'
sab meñ ik tū hī faqat shākī-e-bedād na thā
wo bhi kya din the ki ulfat ka sabaq yaad na tha
dard hamdard na tha gham mera ham-zad na tha
ghair par hi tujhe manzur thi nawak-fagani
kya saza-war-e-hadaf ye dil-e-nashad na tha
tujh ko lazim tha ayaadat mein dikhana aankhen
aise bimar ko jo qabil-e-fariyaad na tha
jab pasand aa gaya un ko to main qimat kya lun
main samajh lunga ki mera dil-e-nashad na tha
bol uThe aaj wo KHud apni zaban se 'mahmud'
sab mein ek tu hi faqat shaki-e-bedad na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.