wo bhi kya din the sukun-e-zindagi dekha na tha
vo bhī kyā din the sukūn-e-zindagī dekhā na thā
dhuup thī sahrā thā ham the duur tak saaya na thā
yā bharī bastī meñ koī us ko paḌh saktā na thā
yā jabīnoñ par koī harf-e-shikan likkhā na thā
ġham kī tārīkī meñ gum thā merā ehsās-e-nazar
dil meñ terī yaad kā sūraj abhī niklā na thā
har kiran kī dhaar garche kund itnī bhī na thī
raat kā patthar kisī sūrat magar kaTtā na thā
ek muddat ho ga.ī thī mujh ko apne ghar meñ band
mere darvāze pe dastak koī bhī detā na thā
gumbad-e-be-dar kī sūrat thī hayāt-e-be-sabāt
maiñ hisār-e-zāt se bāhar kabhī niklā na thā
sab hī āñkhoñ meñ sajā.e phir rahe the ratjage
kyā sabab thā shahr meñ kal shab koī soyā na thā
baa'd muddat jab huā thā aa.ine ke rū-ba-rū
yuuñ lagā thā jaise ye chehra mirā apnā na thā
kyā huā ab dil kī dhaḌkan bhī sadā detī nahīñ
itnā gahrā pahle is bastī meñ sannāTā na thā
kaun paanī meñ utar kar DhūñDhtā 'sajjād' ko
mauj ne us kā fasāna ret par likkhā na thā
wo bhi kya din the sukun-e-zindagi dekha na tha
dhup thi sahra tha hum the dur tak saya na tha
ya bhari basti mein koi us ko paDh sakta na tha
ya jabinon par koi harf-e-shikan likkha na tha
gham ki tariki mein gum tha mera ehsas-e-nazar
dil mein teri yaad ka suraj abhi nikla na tha
har kiran ki dhaar garche kund itni bhi na thi
raat ka patthar kisi surat magar kaTta na tha
ek muddat ho gai thi mujh ko apne ghar mein band
mere darwaze pe dastak koi bhi deta na tha
gumbad-e-be-dar ki surat thi hayat-e-be-sabaat
main hisar-e-zat se bahar kabhi nikla na tha
sab hi aankhon mein sajae phir rahe the ratjage
kya sabab tha shahr mein kal shab koi soya na tha
ba'd muddat jab hua tha aaine ke ru-ba-ru
yun laga tha jaise ye chehra mera apna na tha
kya hua ab dil ki dhaDkan bhi sada deti nahin
itna gahra pahle is basti mein sannaTa na tha
kaun pani mein utar kar DhunDhta 'sajjad' ko
mauj ne us ka fasana ret par likkha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.