wo bhi na khula basta-e-pindar the hum bhi
vo bhī na khulā basta-e-pindār the ham bhī
ḳhāmosh thā vo sūrat-e-dīvār the ham bhī
had-bandī-e-ehsās rahī umr-e-muayyan
aur dā.era-e-kār meñ parkār the ham bhī
ai nargis-e-vā-chashm tire auj ke din haiñ
terī hī tarah dīda-e-bedār the ham bhī
ham bhī the unhī meñ jo zabāñ se na phire the
phir ḳhalq ne dekhā ki sar-e-dār the ham bhī
aajir se jo ujrat hameñ pahuñchī yahī pahuñchī
jab qasr girā thā tah-e-dīvār the ham bhī
wo bhi na khula basta-e-pindar the hum bhi
KHamosh tha wo surat-e-diwar the hum bhi
had-bandi-e-ehsas rahi umr-e-muayyan
aur daera-e-kar mein parkar the hum bhi
ai nargis-e-wa-chashm tere auj ke din hain
teri hi tarah dida-e-bedar the hum bhi
hum bhi the unhi mein jo zaban se na phire the
phir KHalq ne dekha ki sar-e-dar the hum bhi
aajir se jo ujrat hamein pahunchi yahi pahunchi
jab qasr gira tha tah-e-diwar the hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.