wo bhigna mera barish mein ek bahana tha
vo bhīgnā mirā bārish meñ ik bahānā thā
chhalak gayā thā ik aañsū vahī chhupānā thā
hamārā rishta bas ik khel ban gayā jis meñ
bas ek duuje ko har haal meñ harānā thā
zarā nazar hī to Daalī thī ham ne maazī par
lipaT ga.iiñ vahī yādeñ jinheñ bhulānā thā
'ajab nahīñ jo alag ho ga.e vo milte hī
kabhī to rang hinā kā bhī chhūT jaanā thā
mujhe patā hī na thā haar hī chukī huuñ maiñ
har ek vaar hī us kā to ġhā.ebāna thā
wo bhigna mera barish mein ek bahana tha
chhalak gaya tha ek aansu wahi chhupana tha
hamara rishta bas ek khel ban gaya jis mein
bas ek duje ko har haal mein harana tha
zara nazar hi to Dali thi hum ne mazi par
lipaT gain wahi yaaden jinhen bhulana tha
'ajab nahin jo alag ho gae wo milte hi
kabhi to rang hina ka bhi chhuT jaana tha
mujhe pata hi na tha haar hi chuki hun main
har ek war hi us ka to ghaebana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.