Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo bistar mein paDi rahi

Nazeer Qaisar

wo bistar mein paDi rahi

Nazeer Qaisar

MORE BYNazeer Qaisar

    vo bistar meñ paḌī rahī

    shaam galī meñ khaḌī rahī

    sote hue bhī hāthoñ meñ

    phūloñ chhaḌī rahī

    vo kahīñ bāhar khaḌā rahā

    raat frame meñ juḌī rahī

    pairoñ meñ din paḌā rahā

    hāthoñ meñ hathkaḌī rahī

    hoñT buuñd ko taras ga.e

    ret meñ chhāgal paḌī rahī

    us din kitne phuul khile

    us din kitnī jhaḌī rahī

    diyā taaq meñ paḌā rahā

    māchis taaq meñ paḌī rahī

    wo bistar mein paDi rahi

    sham gali mein khaDi rahi

    sote hue bhi hathon mein

    phulon ki chhaDi rahi

    wo kahin bahar khaDa raha

    raat frame mein juDi rahi

    pairon mein din paDa raha

    hathon mein hathkaDi rahi

    honT bund ko taras gae

    ret mein chhagal paDi rahi

    us din kitne phul khile

    us din kitni jhaDi rahi

    diya taq mein paDa raha

    machis taq mein paDi rahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now