wo but be-sabab kyon KHafa ho gaya
vo but be-sabab kyoñ ḳhafā ho gayā
ḳhudāvand-e-ālam ye kyā ho gayā
vahī dil asīr-e-balā ho gayā
jise ishq-e-zulf-e-dutā ho gayā
na dīdār kī taab laa.e kalīm
vo jis vaqt jalva-numā ho gayā
vahāñ us ne pahnā jo dhānī libās
yahāñ zaḳhm dil kā harā ho gayā
banāyā hai tum ne jo surme kā ḳhaal
to ruḳh aur bhī ḳhushnumā ho gayā
nahā dho ke us ne kiyā jab siñghār
to putlā vo ik nuur kā ho gayā
tasallī sitam kī talāfī huī
har ik kār-e-bejā bajā ho gayā
hayāt-e-abad us ko hāsil huī
tirī raah meñ jo fanā ho gayā
ye but ham se ho jā.eñge raam ḳhud
agar mehrbāñ vo ḳhudā ho gayā
maiñ kis muñh se 'sābir' karūñ shukr-e-yār
mujhe bosa-e-lab atā ho gayā
wo but be-sabab kyon KHafa ho gaya
KHudawand-e-alam ye kya ho gaya
wahi dil asir-e-bala ho gaya
jise ishq-e-zulf-e-duta ho gaya
na didar ki tab lae kalim
wo jis waqt jalwa-numa ho gaya
wahan us ne pahna jo dhani libas
yahan zaKHm dil ka hara ho gaya
banaya hai tum ne jo surme ka KHal
to ruKH aur bhi KHushnuma ho gaya
naha dho ke us ne kiya jab singhaar
to putla wo ek nur ka ho gaya
tasalli sitam ki talafi hui
har ek kar-e-beja baja ho gaya
hayat-e-abad us ko hasil hui
teri rah mein jo fana ho gaya
ye but hum se ho jaenge ram KHud
agar mehrban wo KHuda ho gaya
main kis munh se 'sabir' karun shukr-e-yar
mujhe bosa-e-lab ata ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.