wo but mubtala-talab mehr-talab wafa-talab
vo but mubtalā-talab mehr-talab vafā-talab
ye dil-e-āshnā-talab jaur-talab jafā-talab
yaad nahīñ unheñ zarā tīra-diloñ kā ḳhūñ-bahā
haiñ tirī chashm-e-dast-o-pā surma-talab hinā-talab
basta-e-intishār haiñ tālib-e-zulf-e-yār haiñ
us ke siyāhkār haiñ rañj-talab balā-talab
rahtī hai dil meñ muttasil ātish-e-rañj mustaqil
roz-e-avval se hai ye dil ġham-talab āshnā-talab
rāt-din us kā dāġh-e-āh rakhtā hai mere dil se raah
'mehr' haiñ jaise mehr-o-māh nūr-talab ziyā-talab
wo but mubtala-talab mehr-talab wafa-talab
ye dil-e-ashna-talab jaur-talab jafa-talab
yaad nahin unhen zara tira-dilon ka KHun-baha
hain teri chashm-e-dast-o-pa surma-talab hina-talab
basta-e-intishaar hain talib-e-zulf-e-yar hain
us ke siyahkar hain ranj-talab bala-talab
rahti hai dil mein muttasil aatish-e-ranj mustaqil
roz-e-awwal se hai ye dil gham-talab aashna-talab
raat-din us ka dagh-e-ah rakhta hai mere dil se rah
'mehr' hain jaise mehr-o-mah nur-talab ziya-talab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.