wo buDha ek KHwab hai aur ek KHwab mein aata rahta hai
vo būḌhā ik ḳhvāb hai aur ik ḳhvāb meñ aatā rahtā hai
is ke sar par an-dekhā panchhī mañDlātā rahtā hai
nāTak ke kirdāroñ meñ kuchh sachche haiñ kuchh jhūTe haiñ
parde ke pīchhe koī un ko samjhātā rahtā hai
bastī meñ jab chāk-garebāñ girya karte phirte haiñ
is mausam meñ ek rafū-gar hañstā gaatā rahtā hai
har kirdār ke pīchhe pīchhe chal detā hai qissa-go
yūñhī baiThe baiThe apnā kaam baḌhātā rahtā hai
is din bhī jab bastī meñ talvāreñ kam paḌ jaatī haiñ
ek mudabbir āhan-gar zanjīr banātā rahtā hai
āvāzoñ kī bhiiḌ meñ ik ḳhāmosh musāfir dhīre se
nā-mānūs dhunoñ meñ koī saaz bajātā rahtā hai
dekhne vaalī āñkheñ haiñ aur dekh nahīñ pātīñ kuchh bhī
is manzar meñ jaane kyā kuchh aatā jaatā rahtā hai
is dariyā kī tah meñ 'ādil' ek purānī kashtī hai
ik girdāb musalsal us kā bojh baḌhātā rahtā hai
wo buDha ek KHwab hai aur ek KHwab mein aata rahta hai
is ke sar par an-dekha panchhi manDlata rahta hai
naTak ke kirdaron mein kuchh sachche hain kuchh jhuTe hain
parde ke pichhe koi un ko samjhata rahta hai
basti mein jab chaak-gareban girya karte phirte hain
is mausam mein ek rafu-gar hansta gata rahta hai
har kirdar ke pichhe pichhe chal deta hai qissa-go
yunhi baiThe baiThe apna kaam baDhata rahta hai
is din bhi jab basti mein talwaren kam paD jati hain
ek mudabbir aahan-gar zanjir banata rahta hai
aawazon ki bhiD mein ek KHamosh musafir dhire se
na-manus dhunon mein koi saz bajata rahta hai
dekhne wali aankhen hain aur dekh nahin patin kuchh bhi
is manzar mein jaane kya kuchh aata jata rahta hai
is dariya ki tah mein 'adil' ek purani kashti hai
ek girdab musalsal us ka bojh baDhata rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.