wo chahte hain ki raste mein sham ho jae
vo chāhte haiñ ki raste meñ shaam ho jaa.e
maiñ chāhtā huuñ ki zulmat tamām ho jaa.e
junūn-e-azm nahīñ ḳhatm chand nāmoñ par
magar jo vaqt kā apne imaam ho jaa.e
lagā ke aag nasheman ko dekhne vaalo
sukūn-e-dil na tumhārā harām ho jaa.e
'vaqār' ho jo ye bargashtagī to kyā kahiye
ḳhud apnā āshiyāñ apnā hī daam ho jaa.e
wo chahte hain ki raste mein sham ho jae
main chahta hun ki zulmat tamam ho jae
junun-e-azm nahin KHatm chand namon par
magar jo waqt ka apne imam ho jae
laga ke aag nasheman ko dekhne walo
sukun-e-dil na tumhaara haram ho jae
'waqar' ho jo ye bargashtagi to kya kahiye
KHud apna aashiyan apna hi dam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.