wo chaal aTkheliyon se chal kar dil o jigar raunde Dalte hain
wo chaal aTkheliyon se chal kar dil o jigar raunde Dalte hain
Mirza Asman Jah Anjum
MORE BYMirza Asman Jah Anjum
vo chaal aTkheliyoñ se chal kar dil o jigar rauñde Dālte haiñ
abhī javānī kā hai jo aalam na dekhte haiñ na bhālte haiñ
chalā hai pahlū se yaar uTh kar ġham-e-judā.ī ko Tālte haiñ
kabhī to ham dil ko thāmte haiñ kabhī jigar ko sambhālte haiñ
kabhī na jin ko lagāyā thā muñh gale meñ bāheñ vo Dālte haiñ
jo māñgtā huuñ maiñ ek bosa to aap āñkheñ nikālte haiñ
agar yahī hai talavvun un kā ḳhudā hī hai va.ada ho jo puurā
kahā thā kal aaj vasl hogā vo aaj phir kal pe Tālte haiñ
na qahr raftār-e-nāz Dhaa.e lachak na vaqt-e-ḳhirām aa.e
ḳhudā hī nāzuk kamar bachā.e ki pā.eñche vo sambhālte haiñ
na jāñ-ba-lab kyuuñ marīz-e-ġham ho pa.e-ayādat na aa.e dekho
masīh kahte haiñ log jin ko vo jaan kar maar Dālte haiñ
kabhī ye kahte haiñ dard-e-sar hai kabhī ye kahte haiñ ab sahar hai
sitam ye mushtāq-e-vasl par hai hazāroñ hiile nikālte haiñ
nikālūñ armān kyuuñ na jī ke ki mast hoñ jām-e-ishq pī ke
maiñ sadqe is apnī be-ḳhudī ke ki dauḌ kar vo sambhālte haiñ
kasī ke 'anjum' jo haiñ sikhā.e to haiñ nayā rañg aaj laa.e
ki chupke baiThe haiñ sar jhukā.e na bolte haiñ na chālte haiñ
wo chaal aTkheliyon se chal kar dil o jigar raunde Dalte hain
abhi jawani ka hai jo aalam na dekhte hain na bhaalte hain
chala hai pahlu se yar uTh kar gham-e-judai ko Talte hain
kabhi to hum dil ko thamte hain kabhi jigar ko sambhaalte hain
kabhi na jin ko lagaya tha munh gale mein bahen wo Dalte hain
jo mangta hun main ek bosa to aap aankhen nikalte hain
agar yahi hai talawwun un ka KHuda hi hai wada ho jo pura
kaha tha kal aaj wasl hoga wo aaj phir kal pe Talte hain
na qahr raftar-e-naz Dhae lachak na waqt-e-KHiram aae
KHuda hi nazuk kamar bachae ki paenche wo sambhaalte hain
na jaan-ba-lab kyun mariz-e-gham ho pae-ayaadat na aae dekho
masih kahte hain log jin ko wo jaan kar mar Dalte hain
kabhi ye kahte hain dard-e-sar hai kabhi ye kahte hain ab sahar hai
sitam ye mushtaq-e-wasl par hai hazaron hile nikalte hain
nikalun arman kyun na ji ke ki mast hon jam-e-ishq pi ke
main sadqe is apni be-KHudi ke ki dauD kar wo sambhaalte hain
kasi ke 'anjum' jo hain sikhae to hain naya rang aaj lae
ki chupke baiThe hain sar jhukae na bolte hain na chaalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.