wo chand abr se jis waqt be-naqab hua
vo chāñd abr se jis vaqt be-naqāb huā
ajab shabāb ke aalam meñ inqalāb huā
junūñ ke hisse meñ sahrā-navardiyāñ aa.iiñ
tamām umr kahāñ ishq bāryāb huā
chaman meñ naġhma-sarā kyoñ koī nahīñ miltā
huā to kaun se mausam kā hai itaab huā
mirī zabāñ pe to harf-e-gila nahīñ aayā
vo aap apne amal se hī aab aab huā
samajh sakī na use 'anvarī' abhī tak maiñ
ajiib merī nigāhoñ kā intiḳhāb huā
wo chand abr se jis waqt be-naqab hua
ajab shabab ke aalam mein inqalab hua
junun ke hisse mein sahra-nawardiyan aain
tamam umr kahan ishq baryab hua
chaman mein naghma-sara kyon koi nahin milta
hua to kaun se mausam ka hai itab hua
meri zaban pe to harf-e-gila nahin aaya
wo aap apne amal se hi aab aab hua
samajh saki na use 'anwari' abhi tak main
ajib meri nigahon ka intiKHab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.