wo chand ho ki chand sa chehra koi to ho
vo chāñd ho ki chāñd sā chehra koī to ho
in khiḌkiyoñ ke paar tamāshā koī to ho
logo isī galī meñ mirī umr kaT ga.ī
mujh ko galī meñ jānñe vaalā koī to ho
mujh ko to apnī zaat kā isbāt chāhiye
hotā hai aur mere alāva koī to ho
jis samt jā.iye vahī dariyā hai sāmne
is shahr se farār kā rasta koī to ho
apne sivā bhī maiñ koī āvāz sun sakūñ
vo barg-e-ḳhushk ho ki parinda koī to ho
yuuñ hī ḳhayāl aatā hai bāñhoñ ko dekh kar
in Tahniyoñ pe jhūlne vaalā koī to ho
ham is udheḌ-bun meñ mohabbat na kar sake
aisā koī nahīñ magar aisā koī to ho
mushkil nahīñ hai ishq kā maidān mārnā
lekin hamārī tarah nihattā koī to ho
wo chand ho ki chand sa chehra koi to ho
in khiDkiyon ke par tamasha koi to ho
logo isi gali mein meri umr kaT gai
mujh ko gali mein jaanne wala koi to ho
mujh ko to apni zat ka isbaat chahiye
hota hai aur mere alawa koi to ho
jis samt jaiye wahi dariya hai samne
is shahr se farar ka rasta koi to ho
apne siwa bhi main koi aawaz sun sakun
wo barg-e-KHushk ho ki parinda koi to ho
yun hi KHayal aata hai banhon ko dekh kar
in Tahniyon pe jhulne wala koi to ho
hum is udheD-bun mein mohabbat na kar sake
aisa koi nahin magar aisa koi to ho
mushkil nahin hai ishq ka maidan marna
lekin hamari tarah nihatta koi to ho
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 34)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.