wo chal ke naz se ai dil udhar ko dekhte hain
vo chal ke naaz se ai dil udhar ko dekhte haiñ
ham un kī chaal ko un kī nazar ko dekhte haiñ
ham un kī aañkh ko un kī nazar ko dekhte haiñ
vo bazm-e-ġhair meñ dekheñ kidhar ko dekhte haiñ
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ye kyā qayāmat hai
sab ahl-e-hashr usī fitna-gar ko dekhte haiñ
na us ne jaan churā.ī na us ne muñh moḌā
ham un kī teġh ko apne jigar ko dekhte haiñ
hamārī tarah kisī ko ye kyā ujāḌegā
falak ko dekh ke ham apne ghar ko dekhte haiñ
hamārā haal koī dekhtā nahīñ 'safdar'
sab ahl-e-bazm unhīñ kī nazar ko dekhte haiñ
wo chal ke naz se ai dil udhar ko dekhte hain
hum un ki chaal ko un ki nazar ko dekhte hain
hum un ki aankh ko un ki nazar ko dekhte hain
wo bazm-e-ghair mein dekhen kidhar ko dekhte hain
samajh mein kuchh nahin aata ye kya qayamat hai
sab ahl-e-hashr usi fitna-gar ko dekhte hain
na us ne jaan churai na us ne munh moDa
hum un ki tegh ko apne jigar ko dekhte hain
hamari tarah kisi ko ye kya ujaDega
falak ko dekh ke hum apne ghar ko dekhte hain
hamara haal koi dekhta nahin 'safdar'
sab ahl-e-bazm unhin ki nazar ko dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.