wo charaghon ki basti jalata raha
vo charāġhoñ kī bastī jalātā rahā
raushnī ḳhvāhishoñ meñ sajātā rahā
giit ḳhushiyoñ ke ġham ke tarannum meñ bhī
mahfiloñ meñ sadā gungunātā rahā
ḳhud pe us kā yaqīñ Dagmagāyā nahīñ
har samay ḳhud ko vo āzmātā rahā
ḳhvāb us ke ka.ī āsmānoñ se the
pankh ḳhud hī magar vo kaTātā rahā
us ko mā'lūm fitrat zamāne kī thī
hañs ke aañsū vo apne chhupātā rahā
us ne raushan kiyā ghar kisī aur kā
dil meñ tasvīr jis kī banātā rahā
wo charaghon ki basti jalata raha
raushni KHwahishon mein sajata raha
git KHushiyon ke gham ke tarannum mein bhi
mahfilon mein sada gungunata raha
KHud pe us ka yaqin Dagmagaya nahin
har samay KHud ko wo aazmata raha
KHwab us ke kai aasmanon se the
pankh KHud hi magar wo kaTata raha
us ko ma'lum fitrat zamane ki thi
hans ke aansu wo apne chhupata raha
us ne raushan kiya ghar kisi aur ka
dil mein taswir jis ki banata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.