wo chashm-e-mast-e-naz jo baada-farosh ho
vo chashm-e-mast-e-nāz jo bāda-farosh ho
kāfir hai jis ko piine pilāne kā hosh ho
ai iztirāb-e-zabt-e-alam mauj-e-shauq kyā
dil Duub jaa.e ġham meñ zamāna ḳhamosh ho
āñdhī kā kyā qusūr hai bijlī kī kyā ḳhatā
gulchīñ hī jab bahār-e-gulistāñ-farosh ho
chashm-e-karam kī mujh ko tamanna nahīñ magar
merī tabāhiyoñ kā unheñ kuchh to hosh ho
ai ḳhāliq-e-bahār ye insāf hai tirā
koī qafas meñ koī gulistāñ-badosh ho
kaisā ḳhayāl aaj azāb-o-savāb kā
aa.ī bahār mashġhala-e-nāo-nosh ho
is vāste hijāb-e-tajallī meñ chhup rahe
mere junūn-e-shauq-e-mohabbat meñ josh ho
ai be-ḳhudī-e-kaif-e-junūñ ai ġham-e-tamām
apnā nahīñ na ho mujhe un kā to hosh ho
dekh ai 'vakīl' dil meñ ḳhayāl-e-fuġhāñ ġhalat
ye un kī bazm-e-nāz hai zālim ḳhamosh ho
wo chashm-e-mast-e-naz jo baada-farosh ho
kafir hai jis ko pine pilane ka hosh ho
ai iztirab-e-zabt-e-alam mauj-e-shauq kya
dil Dub jae gham mein zamana KHamosh ho
aandhi ka kya qusur hai bijli ki kya KHata
gulchin hi jab bahaar-e-gulistan-farosh ho
chashm-e-karam ki mujh ko tamanna nahin magar
meri tabahiyon ka unhen kuchh to hosh ho
ai KHaliq-e-bahaar ye insaf hai tera
koi qafas mein koi gulistan-badosh ho
kaisa KHayal aaj azab-o-sawab ka
aai bahaar mashghala-e-nao-nosh ho
is waste hijab-e-tajalli mein chhup rahe
mere junun-e-shauq-e-mohabbat mein josh ho
ai be-KHudi-e-kaif-e-junun ai gham-e-tamam
apna nahin na ho mujhe un ka to hosh ho
dekh ai 'wakil' dil mein KHayal-e-fughan ghalat
ye un ki bazm-e-naz hai zalim KHamosh ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.