Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo chashm-e-naz agar KHud ko waqf-e-naz kare

Ghubar Kiratpuri

wo chashm-e-naz agar KHud ko waqf-e-naz kare

Ghubar Kiratpuri

MORE BYGhubar Kiratpuri

    vo chashm-e-nāz agar ḳhud ko vaqf-e-nāz kare

    har ahl-e-qalb-o-nazar ḳham sar-e-niyāz kare

    gadā ko shaah to shah ko gadā-navāz kare

    jise bhī jis tarah chāhe vo sarfarāz kare

    haqīqat-e-basharī kyā hai qatra-e-nāchīz

    zabāñ na had se ziyāda bashar darāz kare

    tirā ġhulām ba-sad-ehtirām hāzir hai

    tirī ḳhushī hai agar is ko sarfarāz kare

    ḳhudā hai qādir-e-mutlaq bashar ko lāzim hai

    usī ke sāmne dast-e-talab darāz kare

    jo bār-e-husn-e-azal koh-e-tūr sah na sake

    qubūl us ko mirā qalb-e-pāk-bāz kare

    kisī ke dam jo raunaq hai us hastī meñ

    'ġhubār' kyoñ na bhalā aaj us pe naaz kare

    wo chashm-e-naz agar KHud ko waqf-e-naz kare

    har ahl-e-qalb-o-nazar KHam sar-e-niyaz kare

    gada ko shah to shah ko gada-nawaz kare

    jise bhi jis tarah chahe wo sarfaraaz kare

    haqiqat-e-bashari kya hai qatra-e-nachiz

    zaban na had se ziyaada bashar daraaz kare

    tera ghulam ba-sad-ehtiram hazir hai

    teri KHushi hai agar is ko sarfaraaz kare

    KHuda hai qadir-e-mutlaq bashar ko lazim hai

    usi ke samne dast-e-talab daraaz kare

    jo bar-e-husn-e-azal koh-e-tur sah na sake

    qubul us ko mera qalb-e-pak-baz kare

    kisi ke dam ki jo raunaq hai us ki hasti mein

    'ghubar' kyon na bhala aaj us pe naz kare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now