wo chashm mail-e-lutf-o-karam hui bhi to kab
vo chashm mā.il-e-lutf-o-karam huī bhī to kab
ujaḌ chukā hai dil apnī ḳhushī milī bhī to kab
utar chukā hai rag-e-jāñ meñ zahr-e-tanhā.ī
use bhī fursat-e-chāragarī milī bhī to kab
haiñ tā-ba-hadd-e-nazar silsile sarāboñ ke
shadīd-tar huā ehsās-e-tishnagī bhī to kab
sumūm-e-ġham ke asar se jhulas chukā hai badan
dayār-e-jāñ meñ havā-e-tarab chalī bhī to kab
ukhaḌtī sāñseñ aur is ruḳh kī diid ai 'ābid'
nazar kī pyaas bujhī to magar bujhī bhī to kab
wo chashm mail-e-lutf-o-karam hui bhi to kab
ujaD chuka hai dil apni KHushi mili bhi to kab
utar chuka hai rag-e-jaan mein zahr-e-tanhai
use bhi fursat-e-chaaragari mili bhi to kab
hain ta-ba-hadd-e-nazar silsile sarabon ke
shadid-tar hua ehsas-e-tishnagi bhi to kab
sumum-e-gham ke asar se jhulas chuka hai badan
dayar-e-jaan mein hawa-e-tarab chali bhi to kab
ukhaDti sansen aur is ruKH ki did ai 'abid'
nazar ki pyas bujhi to magar bujhi bhi to kab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.