wo chehra jo meri chahat raha hai
vo chehra jo merī chāhat rahā hai
magar aisā kahīñ dekhā sunā hai
ḳhud apnī zaat kā merī anā se
baḌī mushkil se samjhauta huā hai
ujāle sab sameTe jā chuke haiñ
mire raste meñ ik TuuTā diyā hai
mirā apnā asāsa kuchh nahīñ hai
mirā to naam bhī rakkhā huā hai
maiñ kin lamhoñ ke pīchhe bhāgtī huuñ
parinde kā mujhe saaya milā hai
vahīñ se jhāñktā hai aks merā
jahāñ se aa.ina TuuTā huā hai
hañsī ke saath aañsū kā Tapaknā
koī Tāñkā kahīñ se khul gayā hai
mujhe 'tasnīm' vo lagtā hai aise
libāsoñ kī tarah pahnā huā hai
wo chehra jo meri chahat raha hai
magar aisa kahin dekha suna hai
KHud apni zat ka meri ana se
baDi mushkil se samjhauta hua hai
ujale sab sameTe ja chuke hain
mere raste mein ek TuTa diya hai
mera apna asasa kuchh nahin hai
mera to nam bhi rakkha hua hai
main kin lamhon ke pichhe bhagti hun
parinde ka mujhe saya mila hai
wahin se jhankta hai aks mera
jahan se aaina TuTa hua hai
hansi ke sath aansu ka Tapakna
koi Tanka kahin se khul gaya hai
mujhe 'tasnim' wo lagta hai aise
libason ki tarah pahna hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.