wo chehre jo the husn ke tufan ki tarah
Interesting Fact
(Kitab, Lucknow)
vo chehre jo the husn ke tūfān kī tarah
kamroñ meñ chup haiñ kāġhzī gul-dān kī tarah
ye chāñd ye bahār kī rāteñ gavāh haiñ
ham ab bhī apne ghar meñ haiñ mehmān kī tarah
be-shak huzūr aap ḳhudā kī tarah raheñ
jiine kā haq hameñ bhī hai insān kī tarah
maiñ aaj zindagī kī kaḌī manziloñ meñ huuñ
ḳhud kah rahā huuñ miliye to anjān kī tarah
pahle gumān ye thā ki maiñ ḳhud huuñ rāz-e-zīst
ab phir rahā huuñ shahr meñ nādān kī tarah
laao maiñ us ko sāġhar-e-dil meñ sambhāl luuñ
botal meñ ik parī hai mirī jaan kī tarah
ġhālib ke shahr shāhid-o-naġhma meñ ham salām
bikhre paḌe haiñ 'mīr' ke dīvān kī tarah
wo chehre jo the husn ke tufan ki tarah
kamron mein chup hain kaghzi gul-dan ki tarah
ye chand ye bahaar ki raaten gawah hain
hum ab bhi apne ghar mein hain mehman ki tarah
be-shak huzur aap KHuda ki tarah rahen
jine ka haq hamein bhi hai insan ki tarah
main aaj zindagi ki kaDi manzilon mein hun
KHud kah raha hun miliye to anjaan ki tarah
pahle guman ye tha ki main KHud hun raaz-e-zist
ab phir raha hun shahr mein nadan ki tarah
lao main us ko saghar-e-dil mein sambhaal lun
botal mein ek pari hai meri jaan ki tarah
ghaalib ke shahr shahid-o-naghma mein hum salam
bikhre paDe hain 'mir' ke diwan ki tarah
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 61)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.