wo chilman se bijli girana tumhaara
vo chilman se bijlī girānā tumhārā
mujhe yaad hai muskurānā tumhārā
vo jaanā palaT kar na aanā tumhārā
na bhūlegā ye dil bahāna tumhārā
ayaañ ho gayā rāz-e-dil ahl-e-dil par
vo sharmā ke nazreñ jhukānā tumhārā
banā do ki chāhe miTā do kisī ko
ḳhudā.ī tumhārī zamāna tumhārā
kamāñ se nikal jo mire dil meñ aayā
vo tīr-e-nazar kā nishāna tumhārā
kalīsā meñ dair-o-haram meñ bhī DhūñDhā
na paayā kahīñ bhī Thikāna tumhārā
yaqīnan tumheñ yaad aatā to hogā
vo 'sāgar' vo āshiq dīvāna tumhārā
wo chilman se bijli girana tumhaara
mujhe yaad hai muskurana tumhaara
wo jaana palaT kar na aana tumhaara
na bhulega ye dil bahana tumhaara
ayan ho gaya raaz-e-dil ahl-e-dil par
wo sharma ke nazren jhukana tumhaara
bana do ki chahe miTa do kisi ko
KHudai tumhaari zamana tumhaara
kaman se nikal jo mere dil mein aaya
wo tir-e-nazar ka nishana tumhaara
kalisa mein dair-o-haram mein bhi DhunDha
na paya kahin bhi Thikana tumhaara
yaqinan tumhein yaad aata to hoga
wo 'sagar' wo aashiq diwana tumhaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.