wo dard-e-dil bhi nahin chashm-e-KHun-fishan bhi nahin
wo dard-e-dil bhi nahin chashm-e-KHun-fishan bhi nahin
Ehsas Muradabadi
MORE BYEhsas Muradabadi
vo dard-e-dil bhī nahīñ chashm-e-ḳhūñ-fishāñ bhī nahīñ
kabhī jo thā vo ab andāz-e-gulsitāñ bhī nahīñ
ilāj-e-dard-e-mohabbat to kar nahīñ sakte
tumhāre qabze meñ kyā marg-e-nā-gahāñ bhī nahīñ
vo is maqām se guzre haiñ dil ye kahtā hai
jhukā hai sar ki jahāñ koī āstāñ bhī nahīñ
isī chaman meñ ka.ī baar sho'le bhaḌke haiñ
mirī navā kā koī ab mizāj-dāñ bhī nahīñ
sukūt kitne marāhil ke ba.ad aatā hai
vo mutma.in haiñ mire lab pe ab fuġhāñ bhī nahīñ
ye aur baat qafas meñ guzār duuñ din-rāt
mirā maqām to varna ye gulsitāñ bhī nahīñ
shab-e-firāq meñ andesha-e-sahar kaisā
ye vo zamīñ hai jahāñ koī āsmāñ bhī nahīñ
wo dard-e-dil bhi nahin chashm-e-KHun-fishan bhi nahin
kabhi jo tha wo ab andaz-e-gulsitan bhi nahin
ilaj-e-dard-e-mohabbat to kar nahin sakte
tumhaare qabze mein kya marg-e-na-gahan bhi nahin
wo is maqam se guzre hain dil ye kahta hai
jhuka hai sar ki jahan koi aastan bhi nahin
isi chaman mein kai bar sho'le bhaDke hain
meri nawa ka koi ab mizaj-dan bhi nahin
sukut kitne marahil ke baad aata hai
wo mutmain hain mere lab pe ab fughan bhi nahin
ye aur baat qafas mein guzar dun din-raat
mera maqam to warna ye gulsitan bhi nahin
shab-e-firaq mein andesha-e-sahar kaisa
ye wo zamin hai jahan koi aasman bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.