wo dard tumne diya hai ki be-qarar chale
vo dard tum ne diyā hai ki be-qarār chale
yahī hai 'ishq to ham haa.e dil pukār chale
vo ek laġhzish-e-tashḳhīs chārāgar terī
hameñ to aisā lagā zindagī guzār chale
har ek phuul nigāh-e-ḳhizāñ kī zad meñ hai
to kis tarah se bahāroñ kā kārobār chale
ho andalīb ko shikva na ḳhār-o-gul ko gile
ba-sad-ḳhulūs agar bād-e-nau-bahār chale
bachegī kis tarah taqdīs-e-mai-kada saaqī
jo terī bazm se tishna ye mai-gusār chale
ḳhudā kī yaad meñ ġhāfil na shaiḳh ḳhalq se ho
kabhī kabhī to musalle pe zikr-e-yār chale
vahī hai fāteh-e-ā’zam jahān-e-dil kā 'sahar'
bisāt-e-shauq pe baazī jo dil kī haar chale
wo dard tum ne diya hai ki be-qarar chale
yahi hai 'ishq to hum hae dil pukar chale
wo ek laghzish-e-tashKHis chaaragar teri
hamein to aisa laga zindagi guzar chale
har ek phul nigah-e-KHizan ki zad mein hai
to kis tarah se bahaaron ka karobar chale
ho andalib ko shikwa na KHar-o-gul ko gile
ba-sad-KHulus agar baad-e-nau-bahaar chale
bachegi kis tarah taqdis-e-mai-kada saqi
jo teri bazm se tishna ye mai-gusar chale
KHuda ki yaad mein ghafil na shaiKH KHalq se ho
kabhi kabhi to musalle pe zikr-e-yar chale
wahi hai fateh-e-a’zam jahan-e-dil ka 'sahar'
bisat-e-shauq pe bazi jo dil ki haar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.