Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo dard wo wafa wo mohabbat tamam shud

Tahir Adeem

wo dard wo wafa wo mohabbat tamam shud

Tahir Adeem

MORE BYTahir Adeem

    vo dard vo vafā vo mohabbat tamām shud

    le dil meñ tere qurb hasrat tamām shud

    ye ba.ad meñ khulegā ki kis kis ḳhuuñ huā

    har ik bayān ḳhatm adālat tamām shud

    ab to dushmanī ke bhī qābil nahīñ rahā

    uThtī thī jo kabhī vo adālat tamām shud

    ab rabt ik nayā mujhe āvārgī se hai

    pābandī-e-ḳhayāl aadat tamām shud

    jaa.ez thī nahīñ thī tire haq meñ thī magar

    kartā thā jo kabhī vo vakālat tamām shud

    vo roz roz marne qissa huā tamām

    vo roz dil ko chīrtī vahshat tamām shud

    vo mere qurb meñ hai bahut be-sukūn

    us ke sukūn ko hai qarābat tamām shud

    ab aa ki apnā apnā asāsa sameT leñ

    ab ham pe vaqt hai saḳhāvat tamām shud

    'tāhir' maiñ kunj-e-zīst meñ chup-chāp huuñ paḌā

    majnūñ vo ḳhajālat-o-hālat tamām shud

    wo dard wo wafa wo mohabbat tamam shud

    le dil mein tere qurb ki hasrat tamam shud

    ye baad mein khulega ki kis kis ka KHun hua

    har ek bayan KHatm adalat tamam shud

    tu ab to dushmani ke bhi qabil nahin raha

    uThti thi jo kabhi wo adalat tamam shud

    ab rabt ek naya mujhe aawargi se hai

    pabandi-e-KHayal ki aadat tamam shud

    jaez thi ya nahin thi tere haq mein thi magar

    karta tha jo kabhi wo wakalat tamam shud

    wo roz roz marne ka qissa hua tamam

    wo roz dil ko chirti wahshat tamam shud

    wo mere qurb mein hai bahut be-sukun sa

    us ke sukun ko hai qarabat tamam shud

    ab aa ki apna apna asasa sameT len

    ab hum pe waqt ki hai saKHawat tamam shud

    'tahir' main kunj-e-zist mein chup-chap hun paDa

    majnun si wo KHajalat-o-haalat tamam shud

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now