wo dariya-bar ashkon ki jhaDi hai
vo dariyā-bār ashkoñ kī jhaḌī hai
ki hūt-e-āsmāñ tah meñ paḌī hai
mire armāñ butoñ kī sard-mehrī
zarā'at barf ke paale paḌī hai
chaman meñ sarv kā bahrūp bhar kar
qayāmat muntazar kis kī khaḌī hai
dahān-e-tañg ġhuncha patiyāñ lab
hañsī hai phuul fiqra pankhuḌī hai
lagā dī aag kis sho'la ne bulbul
har ik phūloñ kī Tahnī phuljhaḌī hai
nigāh-e-yās kis kī kar ga.ī choT
ki gardan teġh kī Dhalkī paḌī hai
'anāsir jald pahuñchā deñge tā-gor
nihāyat tez-rau ye chaukḌī hai
kafan se muñh lapeTe merī hasrat
dil-e-vīrāñ ke kone meñ paḌī hai
sirhāne mudda'ī aayā to jaanā
judā.ī kī ghaḌī sar par khaḌī hai
kisī ko paar utāregā falak kyā
usī kī naav chakkar meñ paḌī hai
banā le 'aql aag kā putlā falātūñ
ki talchhaT kuchh mire ḳhum meñ paḌī hai
nasha hai aur hiran haiñ us kī āñkheñ
nazar-bāzī hiran kī chaukḌī hai
nigāh-e-shauq se siina churāyā
hamārī choT tum se bhī kaḌī hai
balā-e-zulf-e-mehmāñ se kahūñ kyā
nahīñ Taltī mire sar aa paḌī hai
siyāhī duur hogī rafta rafta
abhī zāhid kī dāḌhī kaḌbaḌī hai
sar-e-mahshar baḌhī hai kis qadar zulf
qayāmat kis qadar ochhī paḌī hai
guhar-bīñ hai nizām-ul-mulk apnā
tabī'at kyā 'bayāñ' qismat laḌī hai
wo dariya-bar ashkon ki jhaDi hai
ki hut-e-asman tah mein paDi hai
mere arman buton ki sard-mehri
zara'at barf ke pale paDi hai
chaman mein sarw ka bahrup bhar kar
qayamat muntazar kis ki khaDi hai
dahan-e-tang ghuncha patiyan lab
hansi hai phul fiqra pankhuDi hai
laga di aag kis sho'la ne bulbul
har ek phulon ki Tahni phuljhaDi hai
nigah-e-yas kis ki kar gai choT
ki gardan tegh ki Dhalki paDi hai
'anasir jald pahuncha denge ta-gor
nihayat tez-rau ye chaukDi hai
kafan se munh lapeTe meri hasrat
dil-e-viran ke kone mein paDi hai
sirhane mudda'i aaya to jaana
judai ki ghaDi sar par khaDi hai
kisi ko par utarega falak kya
usi ki naw chakkar mein paDi hai
bana le 'aql aag ka putla falatun
ki talchhaT kuchh mere KHum mein paDi hai
nasha hai aur hiran hain us ki aankhen
nazar-bazi hiran ki chaukDi hai
nigah-e-shauq se sina churaya
hamari choT tum se bhi kaDi hai
bala-e-zulf-e-mehman se kahun kya
nahin Talti mere sar aa paDi hai
siyahi dur hogi rafta rafta
abhi zahid ki daDhi kaDbaDi hai
sar-e-mahshar baDhi hai kis qadar zulf
qayamat kis qadar ochhi paDi hai
guhar-bin hai nizam-ul-mulk apna
tabi'at kya 'bayan' qismat laDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.