wo dariya hai koi sahra nahin hai
vo dariyā hai koī sahrā nahīñ hai
magar pur-josh bhī lagtā nahīñ hai
tujhe terā samundar ho mubārak
hamārī pyaas se achchhā nahīñ hai
vahī bārish kā charchā kar rahe haiñ
badan jin kā kabhī bhīgā nahīñ hai
kabhī dekhā nahīñ hai ham ne varna
zamīñ kī vus.atoñ meñ kyā nahīñ hai
abhī se aa ga.ī hai raat milne
abhī to chāñd bhī niklā nahīñ hai
nigāheñ tak rahī haiñ ghoñsle kī
parinda lauT kar aayā nahīñ hai
maiñ rukne ke liye aayā thā ghar meñ
kisī ne kyuuñ mujhe rokā nahīñ hai
kahāñ asrār apne pā sakegā
abhī ḳhud meñ koī bhaTkā nahīñ hai
sabhī kirdār achchhe lag raheñ haiñ
kahānī meñ koī sachchā nahīñ hai
mah-e-kan.āñ hai ahd-e-nā-rasā.ī
abhī bāzār tak pahuñchā nahīñ hai
zamīñ par zor hai jādūgaroñ kā
asā-e-hazrat-e-mūsā nahīñ hai
samundar to mathe jaatī hai duniyā
koī bhī vish magar piitā nahīñ hai
wo dariya hai koi sahra nahin hai
magar pur-josh bhi lagta nahin hai
tujhe tera samundar ho mubarak
hamari pyas se achchha nahin hai
wahi barish ka charcha kar rahe hain
badan jin ka kabhi bhiga nahin hai
kabhi dekha nahin hai hum ne warna
zamin ki wusaton mein kya nahin hai
abhi se aa gai hai raat milne
abhi to chand bhi nikla nahin hai
nigahen tak rahi hain ghonsle ki
parinda lauT kar aaya nahin hai
main rukne ke liye aaya tha ghar mein
kisi ne kyun mujhe roka nahin hai
kahan asrar apne pa sakega
abhi KHud mein koi bhaTka nahin hai
sabhi kirdar achchhe lag rahen hain
kahani mein koi sachcha nahin hai
mah-e-kanan hai ahd-e-na-rasai
abhi bazar tak pahuncha nahin hai
zamin par zor hai jadugaron ka
asa-e-hazrat-e-musa nahin hai
samundar to mathe jati hai duniya
koi bhi wish magar pita nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.