wo darudon ke salamon ke nagar yaad aae
vo darūdoñ ke salāmoñ ke nagar yaad aa.e
na.ateñ paḌhte hue qasbāt ke ghar yaad aa.e
ghar kī masjid meñ vo nūrānī azaañ se chehre
in mashīnoñ meñ duāoñ ke shajar yaad aa.e
shaam ke baad kachahrī kā thakā sannāTā
be-gunāhī ko adālat ke hunar yaad aa.e
mere siine meñ koī saañs chubhā kartī hai
jaise mazdūr ko pardes meñ ghar yaad aa.e
kitne ḳhat aa.e ga.e shāḳh pe phūloñ kī tarah
aaj dariyā meñ charāġhoñ ke safar yaad aa.e
wo darudon ke salamon ke nagar yaad aae
naten paDhte hue qasbaat ke ghar yaad aae
ghar ki masjid mein wo nurani azan se chehre
in mashinon mein duaon ke shajar yaad aae
sham ke baad kachahri ka thaka sannaTa
be-gunahi ko adalat ke hunar yaad aae
mere sine mein koi sans chubha karti hai
jaise mazdur ko pardes mein ghar yaad aae
kitne KHat aae gae shaKH pe phulon ki tarah
aaj dariya mein charaghon ke safar yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.