wo dekha KHwab qasir jis se hai apni zaban aur hum
wo dekha KHwab qasir jis se hai apni zaban aur hum
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
vo dekhā ḳhvāb qāsir jis se hai apnī zabāñ aur ham
ki goyā ek jā hai us meñ hai vo naujavāñ aur ham
vo ro ro mujh se kahtā hai ḳhudā kī bāteñ haiñ varna
bhalā Tuk dil meñ apne ġhaur kar tū ye makāñ aur ham
jo pūchhā qais se lailā ne jañgal meñ akele ho
to bole ai nahīñ vahshat hai aur āh-o-fuġhāñ aur ham
ajī gaḌbaḌ rahī hai aql apne sab farishtoñ se
paḌe phirte haiñ bāham sair karte qudsiyāñ aur ham
nashā hai ālam-e-mastī hai be-qaidī hai rindī hai
kahāñ ab zohd-o-taqvā hai ḳharābāt-e-muġhāñ aur ham
niyābat ham ko rizvāñ kī milī maulā ke sadqe se
vagarna ohda-e-darbānī-e-bāġh-e-jināñ aur ham
ajab rañgīniyāñ bātoñ meñ kuchh hotī haiñ ai 'inshā'
baham ho baiThte haiñ jab sa.ādat-yār-ḳhāñ aur ham
wo dekha KHwab qasir jis se hai apni zaban aur hum
ki goya ek ja hai us mein hai wo naujawan aur hum
wo ro ro mujh se kahta hai KHuda ki baaten hain warna
bhala Tuk dil mein apne ghaur kar tu ye makan aur hum
jo puchha qais se laila ne jangal mein akele ho
to bole ai nahin wahshat hai aur aah-o-fughan aur hum
aji gaDbaD rahi hai aql apne sab farishton se
paDe phirte hain baham sair karte qudsiyan aur hum
nasha hai aalam-e-masti hai be-qaidi hai rindi hai
kahan ab zohd-o-taqwa hai KHarabaat-e-mughan aur hum
niyabat hum ko rizwan ki mili maula ke sadqe se
wagarna ohda-e-darbani-e-bagh-e-jinan aur hum
ajab ranginiyan baaton mein kuchh hoti hain ai 'insha'
baham ho baiThte hain jab saadat-yar-KHan aur hum
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.