wo dil ki baaten zamane-bhar ko na yun sunata mujhe batata
vo dil kī bāteñ zamāne-bhar ko na yuuñ sunātā mujhe batātā
vo ek daf’a mirī mohabbat ko āzmātā mujhe batātā
zabān-e-ḳhilqat se jaane kyā kyā vo mujh ko bāvar karā rahā hai
kisī bahāne anā kī dīvār ko girātā mujhe batātā
zamāne vāloñ ko kyā paḌī hai suneñ jo hāl-e-dil-e-shikasta
magar mirī to ye aarzū thī mujhe bulātā mujhe batātā
mujhe ḳhabar hai ki chupke-chupke añdhere us ko nigal rahe haiñ
maiñ us kī rāhoñ meñ apne dil kā diyā jalātā mujhe batātā
sitam kiyā hai 'munīr' us ne jo shahr chhoḌā hai ḳhāmushī se
maiñ us kī ḳhātir ye saarī duniyā bhī chhoḌ jaatā mujhe batātā
wo dil ki baaten zamane-bhar ko na yun sunata mujhe batata
wo ek daf’a meri mohabbat ko aazmata mujhe batata
zaban-e-KHilqat se jaane kya kya wo mujh ko bawar kara raha hai
kisi bahane ana ki diwar ko giraata mujhe batata
zamane walon ko kya paDi hai sunen jo haal-e-dil-e-shikasta
magar meri to ye aarzu thi mujhe bulata mujhe batata
mujhe KHabar hai ki chupke-chupke andhere us ko nigal rahe hain
main us ki rahon mein apne dil ka diya jalata mujhe batata
sitam kiya hai 'munir' us ne jo shahr chhoDa hai KHamushi se
main us ki KHatir ye sari duniya bhi chhoD jata mujhe batata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.