wo dil mein aur qarib-e-rag-e-gulu bhi mile
vo dil meñ aur qarīb-e-rag-e-gulū bhī mile
zarā sā lutf magar ham se rū-ba-rū bhī mile
jo koī vāqif-e-ādāb-e-rañg-o-bū bhī mile
to ashk-e-ḳhūñ meñ bū-e-zaḳhm-e-ārzū bhī mile
hazār zaḳhm ko kyā be-shumār zaḳhm lage
usī ke saath magar fursat-e-rafū bhī mile
ye but-kada na sahī phir bhī mai-kada to nahīñ
yahāñ to ham ko ka.ī riñd be-vuzū bhī mile
hameñ to ārzū-e-izn-e-hāzirī hai bahut
zahe-nasīb agar izn-e-guftugū bhī mile
vo is ko kaise ḳhamoshī qarār de āḳhir
mire sukūt meñ jab jurm-e-guftugū bhī mile
mile jahāñ bhī payām-e-hayāt-e-nau mujh ko
maza to jab hai vahīñ mere yaar tū bhī mile
vo ek aap hī apnī misāl hai 'aḳhgar'
aur aap jaise ka.ī us ko hū-ba-hū bhī mile
wo dil mein aur qarib-e-rag-e-gulu bhi mile
zara sa lutf magar hum se ru-ba-ru bhi mile
jo koi waqif-e-adab-e-rang-o-bu bhi mile
to ashk-e-KHun mein bu-e-zaKHm-e-arzu bhi mile
hazar zaKHm ko kya be-shumar zaKHm lage
usi ke sath magar fursat-e-rafu bhi mile
ye but-kada na sahi phir bhi mai-kada to nahin
yahan to hum ko kai rind be-wuzu bhi mile
hamein to aarzu-e-izn-e-haziri hai bahut
zahe-nasib agar izn-e-guftugu bhi mile
wo is ko kaise KHamoshi qarar de aaKHir
mere sukut mein jab jurm-e-guftugu bhi mile
mile jahan bhi payam-e-hayat-e-nau mujh ko
maza to jab hai wahin mere yar tu bhi mile
wo ek aap hi apni misal hai 'aKHgar'
aur aap jaise kai us ko hu-ba-hu bhi mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.