wo dil mein roz naya dard le ke aata hai
vo dil meñ roz nayā dard le ke aatā hai
pe titliyoñ ke ta.āqub meñ bhuul jaatā hai
jo muñh chhupā ke darīche se bhaag jaatā hai
dil-o-jigar kā har ik zaḳhm muskurātā hai
farishte us kī kamā.ī pe naaz karte haiñ
vo fāqa-mast pasīne meñ jab nahātā hai
vo jis kī zad se larazte the qaisar-o-kisrā
na jaane kaise piyādoñ se maat khātā hai
vo ek zaḳhm jo sauġhāt hai mohabbat kī
jigar pe daaġh hai jugnū sā jagmagātā hai
usī kī aañkh meñ miltā hai lutf jiine kā
usī kī aañkh meñ tairāk Duub jaatā hai
kabhī kā toḌ diyā us ne aa.ina 'shākir'
phir aaj kirchiyāñ palkoñ se kyoñ uThātā he
wo dil mein roz naya dard le ke aata hai
pe titliyon ke taaqub mein bhul jata hai
jo munh chhupa ke dariche se bhag jata hai
dil-o-jigar ka har ek zaKHm muskuraata hai
farishte us ki kamai pe naz karte hain
wo faqa-mast pasine mein jab nahata hai
wo jis ki zad se larazte the qaisar-o-kisra
na jaane kaise piyaadon se mat khata hai
wo ek zaKHm jo saughat hai mohabbat ki
jigar pe dagh hai jugnu sa jagmagata hai
usi ki aankh mein milta hai lutf jine ka
usi ki aankh mein tairak Dub jata hai
kabhi ka toD diya us ne aaina 'shakir'
phir aaj kirchiyan palkon se kyon uThata he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.