wo dil nahin raha wo mohabbat nahin rahi
vo dil nahīñ rahā vo mohabbat nahīñ rahī
ab zindagī se koī shikāyat nahīñ rahī
is baar koī zaḳhm bhī gahrā nahīñ lagā
mujh par sitamgaroñ ki ināyat nahīñ rahī
jaa.eñ kahāñ sameT ke apnī udāsiyāñ
kahte the ghar jise vo imārat nahīñ rahī
ik dam se un kī yaad ga.ī to nahīñ magar
ab fikr meñ vo pahle sī kasrat nahīñ rahī
aañsū hī poñchhtā yā mire zaḳhm chūmtā
itnī bhī ab ke yaar ko fursat nahīñ rahī
mahfil hai hasratoñ kī ḳhayāloñ kā hai hujūm
tanhā.ī meñ bhī ab koī ḳhalvat nahīñ rahī
shāyad mujhe bhī ab ke vo kuchh meherbāñ lagā
shāyad use bhī mujh se shikāyat nahīñ rahī
kahte haiñ ab ke deñge har ik baat kā javāb
mujh meñ hī jab savāl kī tāqat nahīñ rahī
marne ne mere sab ko farishta banā diyā
dushman ke bhī diloñ meñ kudūrat nahīñ rahī
pahle to lutf-e-shiddat-e-ġham kī ḳhushī rahī
phir yuuñ huā ke ġham meñ bhī shiddat nahīñ rahī
kahte ke jā ḳhudā kī amaañ meñ diyā tujhe
vaqt-e-judā.ī itnī bhī mohlat nahīñ rahī
wo dil nahin raha wo mohabbat nahin rahi
ab zindagi se koi shikayat nahin rahi
is bar koi zaKHm bhi gahra nahin laga
mujh par sitamgaron ki inayat nahin rahi
jaen kahan sameT ke apni udasiyan
kahte the ghar jise wo imarat nahin rahi
ek dam se un ki yaad gai to nahin magar
ab fikr mein wo pahle si kasrat nahin rahi
aansu hi ponchhta ya mere zaKHm chumta
itni bhi ab ke yar ko fursat nahin rahi
mahfil hai hasraton ki KHayalon ka hai hujum
tanhai mein bhi ab koi KHalwat nahin rahi
shayad mujhe bhi ab ke wo kuchh meherban laga
shayad use bhi mujh se shikayat nahin rahi
kahte hain ab ke denge har ek baat ka jawab
mujh mein hi jab sawal ki taqat nahin rahi
marne ne mere sab ko farishta bana diya
dushman ke bhi dilon mein kudurat nahin rahi
pahle to lutf-e-shiddat-e-gham ki KHushi rahi
phir yun hua ke gham mein bhi shiddat nahin rahi
kahte ke ja KHuda ki aman mein diya tujhe
waqt-e-judai itni bhi mohlat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.