wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi
vo dil nahīñ rahā vo tabī.at nahīñ rahī
shāyad ab un ko mujh se mohabbat nahīñ rahī
ghabrā rahā huuñ kyoñ ye ġham-e-nāravā se ab
kyā mujh meñ ġham ke sahne kī tāqat nahīñ rahī
tum kyā badal ga.e ki zamāna badal gayā
taskīn-e-dil kī ab koī sūrat nahīñ rahī
jiine ko jī rahe haiñ tumhāre baġhair bhī
is tarah jaise jiine kī hasrat nahīñ rahī
shāyad koī hasīn idhar se guzar gayā
vo dard-e-dil kī pahlī sī hālat nahīñ rahī
jaage ho raat mahfil-e-aġhyār meñ zarūr
āñkhoñ meñ ab vo kufr kī zulmat nahīñ rahī
jab kar diyā ḳhizāñ ne vo rañgīñ chaman tabāh
vo husn ab kahāñ vo malāhat nahīñ rahī
zāhid meñ hai na zohd na rindoñ meñ mai-kashī
phūloñ meñ husn ġhunchoñ meñ rañgat nahīñ rahī
haañ ai 'hayāt' ham ne zamāne ke dukh sahe
phir bhī hameñ kisī se shikāyat nahīñ rahī
wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi
shayad ab un ko mujh se mohabbat nahin rahi
ghabra raha hun kyon ye gham-e-narawa se ab
kya mujh mein gham ke sahne ki taqat nahin rahi
tum kya badal gae ki zamana badal gaya
taskin-e-dil ki ab koi surat nahin rahi
jine ko ji rahe hain tumhaare baghair bhi
is tarah jaise jine ki hasrat nahin rahi
shayad koi hasin idhar se guzar gaya
wo dard-e-dil ki pahli si haalat nahin rahi
jage ho raat mahfil-e-aghyar mein zarur
aankhon mein ab wo kufr ki zulmat nahin rahi
jab kar diya KHizan ne wo rangin chaman tabah
wo husn ab kahan wo malahat nahin rahi
zahid mein hai na zohd na rindon mein mai-kashi
phulon mein husn ghunchon mein rangat nahin rahi
han ai 'hayat' hum ne zamane ke dukh sahe
phir bhi hamein kisi se shikayat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.