wo dil samo le jo daman mein kaenat ka karb
vo dil samo le jo dāman meñ kā.enāt kā karb
uThā sakā na ḳhud apne tasavvurāt kā karb
nikalnā ḳhuld se aadam kā ban gayā kyā chiiz
ye zindagī hai ki hai ik vārdāt kā karb
añdhere Daste rahe sham' jhilmilātī rahī
kahīñ to kah na sakeñ zindagī kī raat kā karb
panāh ke liye ḳhvāboñ kī god DhūñDhtī hai
hayāt sah na sakī apne tajrabāt kā karb
baḌā 'ajīb hai ḳhud se ye mā'rka apnā
kahāñ har ek se uTThā shikast-e-zāt kā karb
hai intizār meñ ik inqalāb āḳhir ke
zamīñ liye hue kitne taġhayyurāt kā karb
ye jiit kam hai ki ġham raas aa gayā varna
ḳhushī ḳhushī koī jhelā hai apnī maat kā karb
simaT ke ban gayā hoñToñ pe nāla-e-saharī
tamām din kī aziyyat tamām raat kā karb
jigar-gudāz the 'hurmat' kuchh aur ġham bhī magar
miTā gayā hameñ auj-e-taḳhayyulāt kā karb
wo dil samo le jo daman mein kaenat ka karb
uTha saka na KHud apne tasawwuraat ka karb
nikalna KHuld se aadam ka ban gaya kya chiz
ye zindagi hai ki hai ek wardat ka karb
andhere Daste rahe sham' jhilmilati rahi
kahin to kah na saken zindagi ki raat ka karb
panah ke liye KHwabon ki god DhunDhti hai
hayat sah na saki apne tajrabaat ka karb
baDa 'ajib hai KHud se ye ma'rka apna
kahan har ek se uTTha shikast-e-zat ka karb
hai intizar mein ek inqalab aaKHir ke
zamin liye hue kitne taghayyuraat ka karb
ye jit kam hai ki gham ras aa gaya warna
KHushi KHushi koi jhela hai apni mat ka karb
simaT ke ban gaya honTon pe nala-e-sahari
tamam din ki aziyyat tamam raat ka karb
jigar-gudaz the 'hurmat' kuchh aur gham bhi magar
miTa gaya hamein auj-e-taKHayyulat ka karb
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.