wo dilkashi wo tasawwur kisi nazar mein nahin
Interesting Fact
Dedicated to Raza Mehdi
vo dilkashī vo tasavvur kisī nazar meñ nahīñ
tumhāre jaisī koī shai hamāre ghar meñ nahīñ
ye zindagī bhī ajab chiiz hai ḳhudā kī panāh
ise sambhāl ke rakhnā mire hunar meñ nahīñ
ye kis kī aah kī phunkār hai ki ab ke baras
tumhāre hoñToñ kī koī duā asar meñ nahīñ
maiñ ek umr se huuñ shāmil-e-safar logo
magar ye kyā ki mire paañv rahguzar meñ nahīñ
tamām kutub-o-rasā.il varaq varaq dekhe
bahut dinoñ se 'asad' tum kisī ḳhabar meñ nahīñ
wo dilkashi wo tasawwur kisi nazar mein nahin
tumhaare jaisi koi shai hamare ghar mein nahin
ye zindagi bhi ajab chiz hai KHuda ki panah
ise sambhaal ke rakhna mere hunar mein nahin
ye kis ki aah ki phunkar hai ki ab ke baras
tumhaare honTon ki koi dua asar mein nahin
main ek umr se hun shamil-e-safar logo
magar ye kya ki mere panw rahguzar mein nahin
tamam kutub-o-rasail waraq waraq dekhe
bahut dinon se 'asad' tum kisi KHabar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.