wo din gae ki chhup ke sar-e-baam aaenge
vo din ga.e ki chhup ke sar-e-bām ā.eñge
aanā huā to ab vo sar-e-ām ā.eñge
sochā na thā ki abr-e-siyah-posh se kabhī
kauñde tere badan ke mire naam ā.eñge
us naḳhl-e-nā-murād se jo paat jhaḌ ga.e
andhī ḳhunuk havāoñ ke ab kaam ā.eñge
aañsū sitāre os ke daane safed phuul
sab mere ġham-gusār sar-e-shām ā.eñge
rakh tū inheñ bachā ke kisī aur ke liye
ye qaul ye qarār tire kaam ā.eñge
lauTe agar safar se kabhī ham to Dar nahīñ
sūrat badal ke ā.eñge be-nām ā.eñge
wo din gae ki chhup ke sar-e-baam aaenge
aana hua to ab wo sar-e-am aaenge
socha na tha ki abr-e-siyah-posh se kabhi
kaunde tere badan ke mere nam aaenge
us naKHl-e-na-murad se jo pat jhaD gae
andhi KHunuk hawaon ke ab kaam aaenge
aansu sitare os ke dane safed phul
sab mere gham-gusar sar-e-sham aaenge
rakh tu inhen bacha ke kisi aur ke liye
ye qaul ye qarar tere kaam aaenge
lauTe agar safar se kabhi hum to Dar nahin
surat badal ke aaenge be-nam aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.