wo diye pe tha na hawa pe tha
vo diye pe thā na havā pe thā
jo yaqīn apne ḳhudā pe thā
koī jism tīroñ ke rehl par
koī dhyān kun kī sadā pe thā
koī jism kahtā thā saañs se
mujhe dukh tire inḳhilā pe thā
merā sher tere laboñ pe thā
ki charāġh dosh-e-havā pe thā
koī ḳhvāb thā koī shaḳhs thā
koī phuul dast-e-hinā pe thā
jise chhoḌ aa.e ho dasht meñ
use maan terī vafā pe thā
maiñ amal se ḳhālī thā is liye
merā zor saarā duā pe thā
wo diye pe tha na hawa pe tha
jo yaqin apne KHuda pe tha
koi jism tiron ke rehl par
koi dhyan kun ki sada pe tha
koi jism kahta tha sans se
mujhe dukh tere inKHila pe tha
mera sher tere labon pe tha
ki charagh dosh-e-hawa pe tha
koi KHwab tha koi shaKHs tha
koi phul dast-e-hina pe tha
jise chhoD aae ho dasht mein
use man teri wafa pe tha
main amal se KHali tha is liye
mera zor sara dua pe tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.