wo dost hai aur bura nahin hai
vo dost hai aur burā nahīñ hai
bas mere mizāj kā nahīñ hai
dil merā bhī kab thā aisā saada
vo aañkh bhī be-ḳhatā nahīñ hai
us shaḳhs ne pher lī hoñ āñkheñ
aisā to kabhī huā nahīñ hai
ik baar mohabbatoñ kā bādal
barsā hai to phir rukā nahīñ hai
ye jaañ se guzartī sā.ateñ haiñ
ye dard kā marhala nahīñ hai
kuchh zaḳhm vahāñ lage haiñ lekin
vo shahr to bevafā nahīñ hai
jo merī talāsh meñ hai ab tak
maiñ huuñ koī dūsrā nahīñ hai
is ahd kī hai ye ik zarūrat
hijrat koī sāneha nahīñ hai
wo dost hai aur bura nahin hai
bas mere mizaj ka nahin hai
dil mera bhi kab tha aisa sada
wo aankh bhi be-KHata nahin hai
us shaKHs ne pher li hon aankhen
aisa to kabhi hua nahin hai
ek bar mohabbaton ka baadal
barsa hai to phir ruka nahin hai
ye jaan se guzarti saaten hain
ye dard ka marhala nahin hai
kuchh zaKHm wahan lage hain lekin
wo shahr to bewafa nahin hai
jo meri talash mein hai ab tak
main hun koi dusra nahin hai
is ahd ki hai ye ek zarurat
hijrat koi saneha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.